Akelapan Status In Hindi

Rutha Aashiq
5 min readApr 1, 2021

--

Ruthaaashiq ki audience jab hume search karti hai,wo chaahti hai “Akelapan status in Hindi” ka download kare….Ruthaashiq ki gang jo jami hai uss mehfil ki taarif me ruthaaashiq kuch kehna chaahta hai — “Har kisi se mila wo, jisko akelapan mila…”Kuch iss tarah mile hue hai “Akelepan ki shayari” ki mehfil ke saath…Shero shayri ki humari duniya me Akelapan image ko dekhne wale bhi hum akele log hi hai..Kuch apni “Akelepan ki shayari” sunaa leta hoo toh kuch sun leta hoo..WO kya hai na, dard ko baantnewale adde kam hote hai…Acchi baat dhunde jaoge toh sachi baat ye le aaoge ke asal me kuch acha hai hi nahi..Jhoot ki iss duniya me, jhoote logo ki baat keh paana bas utna hi sach hai…Kabhi achai paane sach chod dena aur kabhi sachai k liye achai ko..Lonely, lonely shayari ke saaz ched lena, kyunki jazbaat ko dabaana sahi nahi…magar writer ko comment karke shabdo k saath jeevan ka protsaahan mile ese kisse bhi comment kar dena…

Akelapan Status In Hindi

मुझे कभी धार्मिक स्थानों पर चढ़ाया जाता है,
तो कभी पैरों तले दबाया जाता है,
कुछ मुझे गुलकंद बनाकर खाते हैं,
तो कुछ मेरी पेस्ट बनाकर मुंह पर लगाते हैं।
कुछ मुझे सिर पर लगाते हैं,
तो कुछ मुझे तोड़-मरोड़ कर चले जाते हैं।
आशिक़ों के महबूब के पैरो की धूल हूँ,
हाँ मैं एक लाल गुलाब का फूल हूँ।
Mujhe kabhi dharmik sathano’n par chadhaya jata hai,
To kabhi pairo’n tale dabaya jata hai,
Kuch mujhe gulkand banakar khaate hain,
To kuch meri paste banakar muhh par lagate hain.
Kuch mujhe sir par lagate hain,
To kuch mujhe tod-marod kar chale jate hain.
Aashiquon ke mehboob ke pairo’n ki dhool hun,
Haan, main ek gulaab ka phool hun.

दु:ख केवल हम इंसानों को ही नहीं होते,
मैंने अक्सर गुलाब को कांटों के बीच खिलते देखा है।
Dukh keval hum insaano’n ko hi nahi hote,
Maine aksar gulaab ko kaanto’n ke beech khilte dekha hai.

तुम्हारे आगे नहीं,
तुम्हारे पीछे नहीं,
तुम्हारे साथ चलना है।
एक जन्म नहीं,
सात जन्म नहीं,
आखरी स्वास तक चलना है।
पल भर में जीना नहीं,
पल भर में मरना नहीं,
एक साथ जीना-मरना है।
Tumhare aage nahi,
Tumhare peeche nahi,
Tumhare saath chalna hai.
Ek janam nahi,
Saat janam nahi,
Aakhari swaas tak chalna hai.
Pal bhar mein jeena nahi,
Pal bhar mein marna nahi,
Ek saath jeena-marna hai.

मेरे जीवन में आने के लिए,
इसमें चॉकलेट जैसी मिठास भरने के लिए,
मेरा साथ निभाने के लिए,
मुझ पर विश्वास करने के लिए,
शुक्रिया….. शुक्रिया…….शुक्रिया।
Mere jeevan mein aane ke liye,
Ismein chocolate jaisi mithaas bharne ke liye,
Mera saath nibhaane ke liye,
Mujh par vishwaas karne ke liye,
Shukriya….. Shukriya…… Shukriya.

टेडी डे आया है,
आशिकों के लिए एक नई बहार लाया है,
अपने प्यार का इज़हार करने,
मेरा महबूब आया है।
Teddy day aaya hai,
Aashiquon ke liye ek nai bahaar laya hai,
Apne pyaar ka izhaar karne,
Mera mehboob aaya hai.

आंसू से पलकें भिगो लेता हूं,
याद तेरी आती है तो रो लेता हूं,
तकिया रखकर,
तेरी बाहों में महसूस कर सो लेता हूं।
Aansu se palakein bhigo leta hun,
Yaad teri aati hai to ro leta hun,
Takiya rakh kar,
Teri baahon mein mehsoos kar so leta hun.

तुम्हारा यूं मेरे सपने में आना,
मेरे माथे को यूं चूम जाना,
मुझे मदहोश कर गया।
Tumhara yun mere supne mein aana,
Mere maathe ko yun choom jana,
Mujhe madhosh kar gaya.

मेरा हमसफ़र कुछ ऐसा हो,
मोहब्बत में दर्द जैसा हो,
जब गुस्सा दबा कर तुम हंसते हो,
ऐ हमसफ़र तुम मुझे बहुत प्यारे लगते हो..!!
Mera humsafar kuch aisa ho,
Mohabbat mein dard jaisa ho,
Jab gussa daba kar tum hanste ho,
E humsafar tum mujhe bahut pyaare lagte ho.

वो रुलाता भी है,
वो हंसाता भी है,
रूठ जाऊं जब मैं,
तो वो मनाता भी है,
सच में मेरा हमसफ़र,
मेरे लिए बहुत कुछ कर जाता है,
वो गुस्से वाला भी है,
वो नखरे वाला भी है,
और थोड़ा जिद्दी भी है,
वो नादान भी है,
थोड़ा परेशान भी है,
मगर मेरा हमसफ़र मेरी जान भी है..!!
Vo rulaata bhi hai,
Vo hansaata bhi hai,
Rooth jaun jab main,
To vo manaata bhi hai,
Sach mein mera humsafar,
Mere liye bahut kuch kar jata hai,
Vo gusse vala bhi hai,
Vo nakhare vala bhi hai,
Aur thoda ziddi bhi hai,
Vo nadaan bhi hai,
Thoda pareshaan bhi hai,
Magar mera humsafar meri jaan bhi hai.

तुम रख लो,
ये मौसम के हसीन नज़ारे,
ये बारिश और समुन्द्र के किनारे,
ये किश्तियां और रंगीन हुलारे,
तुम रख लो,
ये बहती नदियां और उनकी लहरें,
ये प्यार, नफ़रत और उनकी साजिशें,
ये जज्बाती दिल और उनकी लिखावटें,
तुम रख लो..!!
Tum rakh lo,
Ye mausam ke haseen nazaare,
Ye baarish aur samundar ke kinaare,
Ye kishtiyaan aur rangeen hulaare,
Tum rakh lo,
Ye behti nadiyaan aur unki laharein,
Ye pyaar, nafrat aur unki saajishein,
Ye jazbaati dil aur unki likhaavatein,
Tum rakh lo.

आंखें बंद करूं,
तो तू नज़र आए,
आंखें खोलूं,
तो तू नज़र आए,
मैं बड़ा ना समझ हूं,
क्या फर्क पड़ता है,
आंखें बंद करूं या खोलूं ,
क्योंकि तू बस मुझमें समाए..!!
Aankhein band karun,
To tu nazar aaye,
Aankhein kholu,
To tu nazar aaye,
Main bada na samjh hun,
Kya farak padta hai,
Aankhein band karun ya kholu,
Kyunki tu bas mujhmein samaaye.

Dil ki baat dil me bethe log bhale na sune, lekin aap whatsapp status aur digital platforms me “Akelapan shayari in hindi” save karke share jarur kar sakte hai…Download button use kare aur “Akelapan image” achi lage toh share, comment aur save karein…

--

--

Rutha Aashiq
0 Followers

I am the creator of Rutha Aashiq Website.